gham se kis ko farar hai logo
ġham se kis ko farār hai logo
har ḳhushī ab udhār hai logo
raaz vo jānte nahīñ shāyad
har nashe kā utaar hai logo
ye abhī tak samajh na paa.e ham
kaun kis par nisār hai logo
maiñ to shā.ir huuñ dard kā maarā
kyoñ nahīñ mujh se pyaar hai logo
us kī zinda-dilī pe mat jaao
vo bhī ġham kā shikār hai logo
jo mile ġhair ko dukhī kar ke
vo ḳhushī mujh pe baar hai logo
daur-e-iflās-o-ibtilā.eñ haiñ
phir bhī apnā 'vaqār' hai logo
gham se kis ko farar hai logo
har KHushi ab udhaar hai logo
raaz wo jaante nahin shayad
har nashe ka utar hai logo
ye abhi tak samajh na pae hum
kaun kis par nisar hai logo
main to shair hun dard ka mara
kyon nahin mujh se pyar hai logo
us ki zinda-dili pe mat jao
wo bhi gham ka shikar hai logo
jo mile ghair ko dukhi kar ke
wo KHushi mujh pe bar hai logo
daur-e-iflas-o-ibtilaen hain
phir bhi apna 'waqar' hai logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.