gham tu ne kahan gardish-e-ayyam tarashe
ġham tū ne kahāñ gardish-e-ayyām tarāshe
ḳhud maiñ ne hī apne liye ālām tarāshe
ye terā agar kaam nahīñ amn ke daa'ī
phir kis ne haiñ bastī meñ ye kohrām tarāshe
but mujh se na ban paayā koī terī tarah kā
har-chand ki maiñ ne ka.ī asnām tarāshe
hai terī taraf merī nazar ab bhī sitamgar
paikar hai tirā ye dil-e-nākām tarāshe
kahtī hai gunahgār tujhe is meñ 'ajab kyā
duniyā ne to mariyam pe bhī ilzām tarāshe
ye ‘ālam-e-mastī meñ kiyā kaam 'qamar' ne
maiḳhāne kī miTTī se na.e jaam tarāshe
gham tu ne kahan gardish-e-ayyam tarashe
KHud main ne hi apne liye aalam tarashe
ye tera agar kaam nahin amn ke da'i
phir kis ne hain basti mein ye kohram tarashe
but mujh se na ban paya koi teri tarah ka
har-chand ki main ne kai asnam tarashe
hai teri taraf meri nazar ab bhi sitamgar
paikar hai tera ye dil-e-nakaam tarashe
kahti hai gunahgar tujhe is mein 'ajab kya
duniya ne to mariyam pe bhi ilzam tarashe
ye ‘alam-e-masti mein kiya kaam 'qamar' ne
maiKHane ki miTTi se nae jam tarashe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.