gham us ka apni ruh mein jaDna paDa mujhe
ġham us kā apnī ruuh meñ jaḌnā paḌā mujhe
us ke mu'āmalāt meñ paḌnā paḌā mujhe
mujh ko lagā ki us ko ḳhizāoñ se pyaar hai
phir yuuñ huā bahār meñ jhaḌnā paḌā mujhe
us ne kahā ki she'r to bas ‘eliyā’ ke haiñ
phir 'jaun' kī hasad meñ ujaḌnā paḌā mujhe
dāman meñ āñdhiyāñ vo sameTe hue thā yuuñ
milte hī us se jaḌ se ukhaḌnā paḌā mujhe
us ke baġhair zindagī mumkin na thī mirī
phir kas ke us kā haath pakaḌnā paḌā mujhe
jab mujh ko ye lagā ki judā.ī qarīb hai
us se bhī pahle ḳhud se bichhaḌnā paḌā mujhe
'shāhid' mirī laḌā.ī zamāne se thī magar
pahle phir apne aap se laḌnā paḌā mujhe
gham us ka apni ruh mein jaDna paDa mujhe
us ke mu'amalat mein paDna paDa mujhe
mujh ko laga ki us ko KHizaon se pyar hai
phir yun hua bahaar mein jhaDna paDa mujhe
us ne kaha ki she'r to bas ‘eliya’ ke hain
phir 'jaun' ki hasad mein ujaDna paDa mujhe
daman mein aandhiyan wo sameTe hue tha yun
milte hi us se jaD se ukhaDna paDa mujhe
us ke baghair zindagi mumkin na thi meri
phir kas ke us ka hath pakaDna paDa mujhe
jab mujh ko ye laga ki judai qarib hai
us se bhi pahle KHud se bichhaDna paDa mujhe
'shahid' meri laDai zamane se thi magar
pahle phir apne aap se laDna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.