gham uThane ka hausla bhi nahin
ġham uThāne kā hausla bhī nahīñ
aur is ke binā maza bhī nahīñ
saath terā azaab hai mujh ko
chāhiye koī dūsrā bhī nahīñ
tum bhalā kyoñ udaas rahne lage
tum ko to yaar ishq thā bhī nahīñ
ishq kī raah se guzarnā paḌā
aur thā koī rāsta bhī nahīñ
un ko dar-asl duur jaanā thā
mas.ala itnā thā baḌā bhī nahīñ
ḳhud samajh lo mire liye kyā the
aaj se tum ko bad-duā bhī nahīñ
gham uThane ka hausla bhi nahin
aur is ke bina maza bhi nahin
sath tera azab hai mujh ko
chahiye koi dusra bhi nahin
tum bhala kyon udas rahne lage
tum ko to yar ishq tha bhi nahin
ishq ki rah se guzarna paDa
aur tha koi rasta bhi nahin
un ko dar-asl dur jaana tha
masala itna tha baDa bhi nahin
KHud samajh lo mere liye kya the
aaj se tum ko bad-dua bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.