gham uThane ke waste dam hai
ġham uThāne ke vāste dam hai
zindagī hai agar to kyā ġham hai
kahte ho kuchh kaho kahūñ kyā ḳhaak
jāntā huuñ mizāj barham hai
girya-e-be-asar kī kuchh had bhī
ham haiñ aur aaj chashm-e-pur-nam hai
kyā na.e dostoñ se bigḌī aaj
dushmanoñ kā kuchh aur aalam hai
mujh ko dekhā to ġhair se ye kahā
umr is naujavān kī kam hai
gar ḳhushī hai to vasl kī hai ḳhushī
ġham agar hai to hijr kā ġham hai
sunte haiñ 'dāġh' kal vo aa.e the
baare ab to sulūk bāham hai
gham uThane ke waste dam hai
zindagi hai agar to kya gham hai
kahte ho kuchh kaho kahun kya KHak
jaanta hun mizaj barham hai
girya-e-be-asar ki kuchh had bhi
hum hain aur aaj chashm-e-pur-nam hai
kya nae doston se bigDi aaj
dushmanon ka kuchh aur aalam hai
mujh ko dekha to ghair se ye kaha
umr is naujawan ki kam hai
gar KHushi hai to wasl ki hai KHushi
gham agar hai to hijr ka gham hai
sunte hain 'dagh' kal wo aae the
bare ab to suluk baham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.