gham uThane ki zid mein zinda hun
ġham uThāne kī zid meñ zinda huuñ
zaḳhm khāne kī zid meñ zinda huuñ
bhuul pā.ūñ tujhe to mar jā.ūñ
bhuul jaane kī zid meñ zinda huuñ
mere ahbāb haiñ ḳhafā mujh se
bas manāne kī zid meñ zinda huuñ
koī to mujh ko bhī manā le kabhī
ruuTh jaane kī zid meñ zinda huuñ
vo jo merā kabhī nahīñ hogā
us ko paane kī zid meñ zinda huuñ
mujh ko sab ne bhulā diyā ya.anī
yaad aane kī zid meñ zinda huuñ
jiit jaise mirā muqaddar ho
haar jaane kī zid meñ zinda huuñ
gham uThane ki zid mein zinda hun
zaKHm khane ki zid mein zinda hun
bhul paun tujhe to mar jaun
bhul jaane ki zid mein zinda hun
mere ahbab hain KHafa mujh se
bas manane ki zid mein zinda hun
koi to mujh ko bhi mana le kabhi
ruTh jaane ki zid mein zinda hun
wo jo mera kabhi nahin hoga
us ko pane ki zid mein zinda hun
mujh ko sab ne bhula diya yani
yaad aane ki zid mein zinda hun
jit jaise mera muqaddar ho
haar jaane ki zid mein zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.