gham-zada ki aankh se aansu chura sakte hain hum
ġham-zada kī aañkh se aañsū churā sakte haiñ ham
haañ kisī rote hue ko bhī hañsā sakte haiñ ham
shahd lahja inkisārī dard-mandī aur faiz
ḳhūbiyāñ hoñ ye to sab kā dil churā sakte haiñ ham
talḳhiyoñ kā zahr kyoñ gholeñ bhalā rishtoñ meñ jab
ḳhush-mizājī se diloñ meñ ghar banā sakte haiñ ham
kab kahā ham ne ki sūraj chāñd hī ham ko mileñ
ek jugnū se bhī ghar raushan banā sakte haiñ ham
ham mohabbat bāñTne vaale vafā ke phuul haiñ
dosto kāñTe bhī siine se lagā sakte haiñ ham
dil hai vābasta kisī ik aise pyāre shaḳhs se
vo agar kah de to apnī jaañ luTā sakte haiñ ham
gham-zada ki aankh se aansu chura sakte hain hum
han kisi rote hue ko bhi hansa sakte hain hum
shahd lahja inkisari dard-mandi aur faiz
KHubiyan hon ye to sab ka dil chura sakte hain hum
talKHiyon ka zahr kyon gholen bhala rishton mein jab
KHush-mizaji se dilon mein ghar bana sakte hain hum
kab kaha hum ne ki suraj chand hi hum ko milen
ek jugnu se bhi ghar raushan bana sakte hain hum
hum mohabbat banTne wale wafa ke phul hain
dosto kanTe bhi sine se laga sakte hain hum
dil hai wabasta kisi ek aise pyare shaKHs se
wo agar kah de to apni jaan luTa sakte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.