gham-zada mere chehre pe nur aaega
ġham-zada mere chehre pe nuur aa.egā
hai yaqīn ek din tū zarūr aa.egā
kāTnī hai shab-e-ġham akele mujhe
uljhaneñ kaun karne ko duur aa.egā
sajde sab rā.egāñ us ke ho jā.eñge
haañ ibādat pe jis ko ġhurūr aa.egā
naam par maz.haboñ ke jhagaḌte haiñ jo
zindagī kā kab unheñ shu.ūr aa.egā
mujrimoñ kī giraft aaj hogī nahīñ
zar pe qānūn ke be-qusūr aa.egā
rafta-rafta milegī kisī se nazar
rafta-rafta hī mujh ko surūr aa.egā
laakh achchhā karo saath un ke 'riyāz'
zehn meñ phir bhī un ke futūr aa.egā
gham-zada mere chehre pe nur aaega
hai yaqin ek din tu zarur aaega
kaTni hai shab-e-gham akele mujhe
uljhanen kaun karne ko dur aaega
sajde sab raegan us ke ho jaenge
han ibaadat pe jis ko ghurur aaega
nam par mazhabon ke jhagaDte hain jo
zindagi ka kab unhen shuur aaega
mujrimon ki giraft aaj hogi nahin
zar pe qanun ke be-qusur aaega
rafta-rafta milegi kisi se nazar
rafta-rafta hi mujh ko surur aaega
lakh achchha karo sath un ke 'riyaz'
zehn mein phir bhi un ke futur aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.