ghamon ka bojh Dhote bhi bahut hain
ġhamoñ kā bojh Dhote bhī bahut haiñ
ki rātoñ uTh ke rote bhī bahut haiñ
ye bādal pyaar ke yūñhī uḌeñge
agar barseñ bhigote bhī bahut haiñ
tujhe to niiñd meñ paayā hai aksar
tujhe ai ziist khote bhī bahut haiñ
jo dekho rāste hañste mileñge
suno to shahr rote bhī bahut haiñ
hamesha fasl bedārī kī kaaTī
agarche niiñd bote bhī bahut haiñ
ghamon ka bojh Dhote bhi bahut hain
ki raaton uTh ke rote bhi bahut hain
ye baadal pyar ke yunhi uDenge
agar barsen bhigote bhi bahut hain
tujhe to nind mein paya hai aksar
tujhe ai zist khote bhi bahut hain
jo dekho raste hanste milenge
suno to shahr rote bhi bahut hain
hamesha fasl bedari ki kaTi
agarche nind bote bhi bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.