ghamon ke shahr mein iqrar-e-zindagi kyon hai
ghamon ke shahr mein iqrar-e-zindagi kyon hai
Khurshid Ahmad Jami
MORE BYKhurshid Ahmad Jami
ġhamoñ ke shahr meñ iqrār-e-zindagī kyoñ hai
diloñ ke paas abhī tak ye raushnī kyoñ hai
nikal ke ghar se mirī soch pāgaloñ kī tarah
siyāh-rāt ke jangal meñ ghūmtī kyoñ hai
bayān-e-dard ke uslūb aur bhī hoñge
har ek baat ba-unvān-e-shā.erī kyoñ hai
bhaTak rahā huuñ bagūloñ ke saath sahrā meñ
mire nasīb meñ sadiyoñ kī tishnagī kyoñ hai
har ek daur ne mā’tūb jis ko Thahrāyā
mirī zabān pe vo harf-e-āgahī kyoñ hai
phir aaj vaqt kī pur-shor āñdhiyoñ kī tarah
kisī ke naam kā charchā galī galī kyoñ hai
milī to koī taqāza na kar sakī mujh se
tumhārī yaad bhī itnī thakī huī kyoñ hai
nā jaane kaun saḳhī is taraf se guzregā
fasīl-e-shab se pare bhiiḌ sī lagī kyoñ hai
miTī miTī sī lakīreñ haiñ jis taraf dekho
ġham-e-hayāt kī tasvīr ek sī kyoñ hai
kisī badan kī pur-asrār chāñdnī ab bhī
mire qarīb hī bistar pe leTtī kyoñ hai
kisī ko aaj nahīñ kal batā.ūñgā 'jāmī'
qalam kī aag meñ ḳhvāboñ kī dil-kashī kyoñ hai
ghamon ke shahr mein iqrar-e-zindagi kyon hai
dilon ke pas abhi tak ye raushni kyon hai
nikal ke ghar se meri soch pagalon ki tarah
siyah-raat ke jangal mein ghumti kyon hai
bayan-e-dard ke uslub aur bhi honge
har ek baat ba-unwan-e-shaeri kyon hai
bhaTak raha hun bagulon ke sath sahra mein
mere nasib mein sadiyon ki tishnagi kyon hai
har ek daur ne ma’tub jis ko Thahraya
meri zaban pe wo harf-e-agahi kyon hai
phir aaj waqt ki pur-shor aandhiyon ki tarah
kisi ke nam ka charcha gali gali kyon hai
mili to koi taqaza na kar saki mujh se
tumhaari yaad bhi itni thaki hui kyon hai
na jaane kaun saKHi is taraf se guzrega
fasil-e-shab se pare bhiD si lagi kyon hai
miTi miTi si lakiren hain jis taraf dekho
gham-e-hayat ki taswir ek si kyon hai
kisi badan ki pur-asrar chandni ab bhi
mere qarib hi bistar pe leTti kyon hai
kisi ko aaj nahin kal bataunga 'jami'
qalam ki aag mein KHwabon ki dil-kashi kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.