ghamon ki aag pe sab Khaal-o-KHad sanware gae
ġhamoñ kī aag pe sab ḳhāl-o-ḳhad sañvāre ga.e
ye kaise karb ke aalam se ham guzāre ga.e
huā hai is liye bhī sogvār-o-nauha-kunāñ
hujūm-e-shahr meñ ham log lā ke maare ga.e
bisāt-e-vaqt pe khelī ga.ī hai jab baazī
hamīñ to khel meñ har samt rakh ke haare ga.e
vo chāñd TuuT gayā jis se raat raushan thī
chamak rahe the falak par jo sab sitāre ga.e
jahāñ jahāñ se bhī guzre hujūm-e-mātam meñ
shagufta phuul se chehre qazā pe vaare ga.e
'figār' aag kahāñ ab dhuāñ bhī mushkil hai
vo shab ko os paḌī hai ki sab sharāre ga.e
ghamon ki aag pe sab KHal-o-KHad sanware gae
ye kaise karb ke aalam se hum guzare gae
hua hai is liye bhi sogwar-o-nauha-kunan
hujum-e-shahr mein hum log la ke mare gae
bisat-e-waqt pe kheli gai hai jab bazi
hamin to khel mein har samt rakh ke haare gae
wo chand TuT gaya jis se raat raushan thi
chamak rahe the falak par jo sab sitare gae
jahan jahan se bhi guzre hujum-e-matam mein
shagufta phul se chehre qaza pe ware gae
'figar' aag kahan ab dhuan bhi mushkil hai
wo shab ko os paDi hai ki sab sharare gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.