ghamon ki bhiD mein rasta bana ke chalta hun
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ rasta banā ke chaltā huuñ
alī kī aal huuñ maiñ sar uThā ke chaltā huuñ
zarā sambhal ke mire rāste meñ tum aanā
maiñ apne ghar se lahū aazmā ke chaltā huuñ
ye terā shahr mirī saañs chhīn letā hai
maiñ apne gaañv meñ siina phulā ke chaltā huuñ
jo merī raah meñ patthar girā ke jaatā hai
maiñ us kī raah se patthar haTā ke chaltā huuñ
hamesha ḳhair se pahuñchā huuñ apnī manzil par
safar se pahle maiñ kuchh de dilā ke chaltā huuñ
ghamon ki bhiD mein rasta bana ke chalta hun
ali ki aal hun main sar uTha ke chalta hun
zara sambhal ke mere raste mein tum aana
main apne ghar se lahu aazma ke chalta hun
ye tera shahr meri sans chhin leta hai
main apne ganw mein sina phula ke chalta hun
jo meri rah mein patthar gira ke jata hai
main us ki rah se patthar haTa ke chalta hun
hamesha KHair se pahuncha hun apni manzil par
safar se pahle main kuchh de dila ke chalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.