ghamon ki dhup mein uf mahtab se chehre
ġhamoñ kī dhuup meñ uf māhtāb se chehre
jhulas ke rah ga.e kyā kyā gulāb se chehre
likhī huī nazar aa.iiñ hikāyateñ kyā kyā
paḌhe jo ġhaur se ham ne kitāb se chehre
matā-e-nūr masā.ib ne luuT lī shāyad
dikhā.ī dete haiñ be-āb-o-tāb se chehre
ye sochtā huuñ kise mo'atabar kahā jaa.e
nazar meñ jitne haiñ sab haiñ sarāb se chehre
jo inqilāb-e-zamāna se ho ga.e rū-posh
ḳhayāl meñ haiñ vahī lā-javāb se chehre
girā hai jab bhī sitāra koī bulandī se
ubhar ke zehn pe aa.e shahāb se chehre
nazar ke sāmne rahte the jo kabhī 'ahmad'
vahī to rah ga.e sab ho ke ḳhvāb se chehre
ghamon ki dhup mein uf mahtab se chehre
jhulas ke rah gae kya kya gulab se chehre
likhi hui nazar aain hikayaten kya kya
paDhe jo ghaur se hum ne kitab se chehre
mata-e-nur masaib ne luT li shayad
dikhai dete hain be-ab-o-tab se chehre
ye sochta hun kise mo'atabar kaha jae
nazar mein jitne hain sab hain sarab se chehre
jo inqilab-e-zamana se ho gae ru-posh
KHayal mein hain wahi la-jawab se chehre
gira hai jab bhi sitara koi bulandi se
ubhar ke zehn pe aae shahab se chehre
nazar ke samne rahte the jo kabhi 'ahmad'
wahi to rah gae sab ho ke KHwab se chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.