ghamon ki hukmrani ho gai hai
ġhamoñ kī hukmrānī ho ga.ī hai
ḳhudā kī mehrbānī ho ga.ī hai
lagā do marqad-e-'ġhālib' pe katba
ġhazal kaafī purānī ho ga.ī hai
tumhārī yaad kā shāyad guzar ho
fazā kuchh zāfrānī ho ga.ī hai
purāne maqbaroñ kī zard miTTī
buzurgoñ kī nishānī ho ga.ī hai
lagā.eñ kab talak paivand sāñseñ
ye chādar ab purānī ho ga.ī hai
vo hoñToñ par ḳhamoshī sī chukā hai
use kuchh bad-gumānī ho ga.ī hai
ye āñgan kitne hissoñ meñ bañTegā
rivāyat ḳhāndānī ho ga.ī hai
mirī āñkhoñ ke manzar bujh chuke haiñ
mirī beTī siyānī ho ga.ī hai
hañsī bhī ab mire hoñToñ kī 'tāriq'
balā-e-nā-gahānī ho ga.ī hai
ghamon ki hukmrani ho gai hai
KHuda ki mehrbani ho gai hai
laga do marqad-e-'ghaalib' pe katba
ghazal kafi purani ho gai hai
tumhaari yaad ka shayad guzar ho
faza kuchh zafrani ho gai hai
purane maqbaron ki zard miTTi
buzurgon ki nishani ho gai hai
lagaen kab talak paiwand sansen
ye chadar ab purani ho gai hai
wo honTon par KHamoshi si chuka hai
use kuchh bad-gumani ho gai hai
ye aangan kitne hisson mein banTega
riwayat KHandani ho gai hai
meri aankhon ke manzar bujh chuke hain
meri beTi siyani ho gai hai
hansi bhi ab mere honTon ki 'tariq'
bala-e-na-gahani ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.