ghamon ki list mein jo intiha mein rakha gaya
ġhamoñ kī list meñ jo intihā meñ rakhā gayā
hamāre vāste vo ibtidā meñ rakhā gayā
ajiib Dhañg se mujh ko milī hai āzādī
parinda pinjre meñ piñjra havā meñ rakhā gayā
vo ġham guzārā gayā hai ki dil hī jāntā hai
ye vo nagar hai jise karbalā meñ rakhā gayā
hamāre khel se ye khel hī palaT jaatā
isī liye to hameñ extra meñ rakhā gayā
safar meñ ishq ke kampas kā koī rol nahīñ
kise ḳhabar ki qadam kis dishā meñ rakhā gayā
ghamon ki list mein jo intiha mein rakha gaya
hamare waste wo ibtida mein rakha gaya
ajib Dhang se mujh ko mili hai aazadi
parinda pinjre mein pinjra hawa mein rakha gaya
wo gham guzara gaya hai ki dil hi jaanta hai
ye wo nagar hai jise karbala mein rakha gaya
hamare khel se ye khel hi palaT jata
isi liye to hamein extra mein rakha gaya
safar mein ishq ke kampas ka koi rol nahin
kise KHabar ki qadam kis disha mein rakha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.