ghamon ki raat hai basti mein sab shajar chup hain
ghamon ki raat hai basti mein sab shajar chup hain
meenakshi jijivisha
MORE BYmeenakshi jijivisha
ġhamoñ kī raat hai bastī meñ sab shajar chup haiñ
parinde sog meñ baiThe to haiñ magar chup haiñ
havā ke saare savāloñ ke haiñ javāb magar
mire charāġh ujāloñ ko dekh kar chup haiñ
rafāqatoñ ko tamāsha banāne se behtar
har ek baat tirī kar ke darguzar chup haiñ
kisī lihāz ne sī rakkhe haiñ hamāre lab
hameñ haqīr na samjho ki ham agar chup haiñ
bichhaḌ ke sāmne aa.ī hai donoñ kī fitrat
vo qissa-go haiñ udhar aur ham idhar chup haiñ
abhī talak to har ik chiiz boltī thī yahāñ
ye kyā huā hai achānak jo bām-o-dar chup haiñ
savāl ishq pe ham us se kar to leñ lekin
ham us savāl se aage kā soch kar chup haiñ
ghamon ki raat hai basti mein sab shajar chup hain
parinde sog mein baiThe to hain magar chup hain
hawa ke sare sawalon ke hain jawab magar
mere charagh ujalon ko dekh kar chup hain
rafaqaton ko tamasha banane se behtar
har ek baat teri kar ke darguzar chup hain
kisi lihaz ne si rakkhe hain hamare lab
hamein haqir na samjho ki hum agar chup hain
bichhaD ke samne aai hai donon ki fitrat
wo qissa-go hain udhar aur hum idhar chup hain
abhi talak to har ek chiz bolti thi yahan
ye kya hua hai achanak jo baam-o-dar chup hain
sawal ishq pe hum us se kar to len lekin
hum us sawal se aage ka soch kar chup hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.