ghamon ko apne daba ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
ghamon ko apne daba ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
Dipishikha Sagar
MORE BYDipishikha Sagar
ġhamoñ ko apne dabā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
ye dil kī daulat chhupā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
har ik tamanna kī rahguzar par muḳhālifat kī havā ke sar par
charāġh-e-ulfat jalā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
samundaroñ kā mizāj ho kar zamīn-e-chāhat pe ashk bo kar
laboñ pe ḳhushkī sajā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
rafāqatoñ ke usuul jaise mahakte ḳhush-rang phuul jaise
jigar ko patthar banā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
vo guzre lamhe vo saal saare diye jo rūmāl tum ne saare
vo apne dil meñ sajā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
vo raushnī kā surāġh ban kar khulī chhatoñ kā charāġh ban kar
ḳhilāf ḳhud ko havā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
na.e zamāna ke qāsidoñ se hai bachnā kis tarah hāsidoñ se
'shikhā' ko sab kuchh sikhā ke rakhnā kamāl hai yā nahīñ hai bolo
ghamon ko apne daba ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
ye dil ki daulat chhupa ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
har ek tamanna ki rahguzar par muKHalifat ki hawa ke sar par
charagh-e-ulfat jala ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
samundaron ka mizaj ho kar zamin-e-chahat pe ashk bo kar
labon pe KHushki saja ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
rafaqaton ke usul jaise mahakte KHush-rang phul jaise
jigar ko patthar bana ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
wo guzre lamhe wo sal sare diye jo rumal tum ne sare
wo apne dil mein saja ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
wo raushni ka suragh ban kar khuli chhaton ka charagh ban kar
KHilaf KHud ko hawa ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
nae zamana ke qasidon se hai bachna kis tarah hasidon se
'shikha' ko sab kuchh sikha ke rakhna kamal hai ya nahin hai bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.