ghamon ko bhul jaana chahta hun
ġhamoñ ko bhuul jaanā chāhtā huuñ
unheñ apnā banānā chāhtā huuñ
bahut hī āzmāyā tū ne ham ko
maiñ tujh ko āzmānā chāhtā huuñ
muqaddar jo bhī hogā hogā apnā
unhī rāhoñ pe jaanā chāhtā huuñ
na roke bevafā koī ḳhudārā
vafā par jaan denā chāhtā huuñ
lahak ai ātish-e-husn-e-mohabbat
maiñ ḳhud dil ko jalānā chāhtā huuñ
banā de aa.ina jis ko jahāñ meñ
vo dil par choT khānā chāhtā huuñ
'sharār' aao chaleñ kūche meñ us ke
maiñ dil ko phir dukhānā chāhtā huuñ
ghamon ko bhul jaana chahta hun
unhen apna banana chahta hun
bahut hi aazmaya tu ne hum ko
main tujh ko aazmana chahta hun
muqaddar jo bhi hoga hoga apna
unhi rahon pe jaana chahta hun
na roke bewafa koi KHudara
wafa par jaan dena chahta hun
lahak ai aatish-e-husn-e-mohabbat
main KHud dil ko jalana chahta hun
bana de aaina jis ko jahan mein
wo dil par choT khana chahta hun
'sharar' aao chalen kuche mein us ke
main dil ko phir dukhana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.