ghamon mein bhi masarrat ki farawani nahin jati
ġhamoñ meñ bhī masarrat kī farāvānī nahīñ jaatī
hamāre zaḳhm-e-dil kī ḳhanda-sāmānī nahīñ jaatī
na jaane kaun se aalam meñ le aaya junūñ mujh ko
ki manzil sāmne hai aur pahchānī nahīñ jaatī
ba-zāhir to chaman meñ har taraf jashn-e-bahārāñ hai
na jaane kyoñ guloñ kī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
hamārī ḳhairiyat vo pūchhte rahte haiñ ġhairoñ se
ḳhalish dard-e-mohabbat kī ba-āsānī nahīñ jaatī
mah-o-ḳhurshīd-o-anjum par kamandeñ Dālne vaalo
sabab kyā hai ki zehnoñ kī pareshānī nahīñ jaatī
abhī tak ḳhud-ġharaz hāthoñ meñ hai nazm-e-chaman shāyad
bahār aa.ī magar gulshan kī vīrānī nahīñ jaatī
hamārī kashtī-e-ummīd ke vo nāḳhudā Thahre
abhī tak nabz-e-tūfāñ jin se pahchānī nahīñ jaatī
guzar jaatā hai ik saaya sā dil kī rah-guzāroñ se
ġham-e-māzī kī ab tak fitna-sāmānī nahīñ jaatī
'tarab' shāyad vahī manzil hai sarhad husn-e-jānāñ kī
jahāñ se aur aage aql-e-insānī nahīñ jaatī
ghamon mein bhi masarrat ki farawani nahin jati
hamare zaKHm-e-dil ki KHanda-samani nahin jati
na jaane kaun se aalam mein le aaya junun mujh ko
ki manzil samne hai aur pahchani nahin jati
ba-zahir to chaman mein har taraf jashn-e-bahaaran hai
na jaane kyon gulon ki chaak-damani nahin jati
hamari KHairiyat wo puchhte rahte hain ghairon se
KHalish dard-e-mohabbat ki ba-asani nahin jati
mah-o-KHurshid-o-anjum par kamanden Dalne walo
sabab kya hai ki zehnon ki pareshani nahin jati
abhi tak KHud-gharaz hathon mein hai nazm-e-chaman shayad
bahaar aai magar gulshan ki virani nahin jati
hamari kashti-e-ummid ke wo naKHuda Thahre
abhi tak nabz-e-tufan jin se pahchani nahin jati
guzar jata hai ek saya sa dil ki rah-guzaron se
gham-e-mazi ki ab tak fitna-samani nahin jati
'tarab' shayad wahi manzil hai sarhad husn-e-jaanan ki
jahan se aur aage aql-e-insani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.