ghamon ne kar diya sina figar aahista aahista
ġhamoñ ne kar diyā siina figār āhista āhista
chaman meñ aa ga.ī fasl-e-bahār āhista āhista
na aa.egā tujhe bhī chain dil ko toḌne vaale
mujhe to aa hī jā.egā qarār āhista āhista
vafā.eñ rafta rafta ahl-e-dil kī rang lā.eñgī
jafāoñ par vo hoñge sharmsār āhista āhista
surūr-o-kaif-o-mastī kā ye aalam hai mire saaqī
barastā hai nigāhoñ se ḳhumār āhista āhista
chaman ke phuul gin lenā nahīñ 'iqbāl' kuchh āsāñ
tumhāre dāġh-e-dil hoñge shumār āhista āhista
ghamon ne kar diya sina figar aahista aahista
chaman mein aa gai fasl-e-bahaar aahista aahista
na aaega tujhe bhi chain dil ko toDne wale
mujhe to aa hi jaega qarar aahista aahista
wafaen rafta rafta ahl-e-dil ki rang laengi
jafaon par wo honge sharmsar aahista aahista
surur-o-kaif-o-masti ka ye aalam hai mere saqi
barasta hai nigahon se KHumar aahista aahista
chaman ke phul gin lena nahin 'iqbaal' kuchh aasan
tumhaare dagh-e-dil honge shumar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.