ghamon se hijr ke kuchh aise bad-hawas rahe
ġhamoñ se hijr ke kuchh aise bad-havās rahe
vo mil ga.e bhī to ham der tak udaas rahe
ye anjuman to sitam ko sitam hī samjhegī
tirā karam ki hamīñ-ham adā-shanās rahe
vo chāk-dāmanī-e-gul kā raaz kyā jāneñ
bharī bahār meñ jo ḳhaar be-libās rahe
junūñ hai ek jasārat junūñ hai ek tarañg
ḳhirad nahīñ ki asīr-e-umīd-o-yās rahe
na TūTnā thā na TuuTā ġhurūr-e-gumrāhī
pahuñch ga.e bhī to manzil ke ās-pās rahe
nigāh tak to uThā dī kisī ne jaam ke saath
jo phir bhī rahtī hai 'ḳhāvar' to apnī pyaas rahe
ghamon se hijr ke kuchh aise bad-hawas rahe
wo mil gae bhi to hum der tak udas rahe
ye anjuman to sitam ko sitam hi samjhegi
tera karam ki hamin-ham ada-shanas rahe
wo chaak-damani-e-gul ka raaz kya jaanen
bhari bahaar mein jo KHar be-libas rahe
junun hai ek jasarat junun hai ek tarang
KHirad nahin ki asir-e-umid-o-yas rahe
na TuTna tha na TuTa ghurur-e-gumrahi
pahunch gae bhi to manzil ke aas-pas rahe
nigah tak to uTha di kisi ne jam ke sath
jo phir bhi rahti hai 'KHawar' to apni pyas rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.