ghamon se tang hun kab tak mujhe hansaega
ġhamoñ se tang huuñ kab tak mujhe hañsā.egā
kahāñ kahāñ vo mire saath saath aa.egā
sukūt-e-shām hai tanhā huuñ apne ghar meñ huuñ
tire sivā mujhe ab kaun yaad aa.egā
harīf huuñ maiñ tashaddud kā zehn-e-qātil meñ
tumhārā naam nahīñ merā naam aa.egā
jalā thā ghar to bujhāne sab aa ga.e the magar
ye dil kī aag hai ab kaun ise bujhā.egā
isī umiid pe maiñ us ke kaam aaya thā
ki dost hai to kabhī mere kaam aa.egā
ghamon se tang hun kab tak mujhe hansaega
kahan kahan wo mere sath sath aaega
sukut-e-sham hai tanha hun apne ghar mein hun
tere siwa mujhe ab kaun yaad aaega
harif hun main tashaddud ka zehn-e-qatil mein
tumhaara nam nahin mera nam aaega
jala tha ghar to bujhane sab aa gae the magar
ye dil ki aag hai ab kaun ise bujhaega
isi umid pe main us ke kaam aaya tha
ki dost hai to kabhi mere kaam aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.