ghanimat hai hans kar agar baat ki
ġhanīmat hai hañs kar agar baat kī
yahāñ kis ne kis kī mudārāt kī
ghuTan kyuuñ na mahsūs ho shahr meñ
havā chal paḌī hai mazāfāt kī
nazar us ko maiñ aatā huuñ Thīk-Thāk
use kyā ḳhabar mere hālāt kī
hamīñ aaj haq se bhī mahrūm haiñ
hamīñ par thī bārish murā.āt kī
muqaddar to merā sañvāroge kyaa!
lakīreñ miTā do mire haat kī
ziyāñ hī ziyāñ hai faqat naf.i meñ
koī aur sūrat kar isbāt kī
mukammal nahīñ yuuñ to koī vajūd
kamī mujh meñ hai kaun sī baat kī
ghanimat hai hans kar agar baat ki
yahan kis ne kis ki mudaraat ki
ghuTan kyun na mahsus ho shahr mein
hawa chal paDi hai mazafat ki
nazar us ko main aata hun Thik-Thak
use kya KHabar mere haalat ki
hamin aaj haq se bhi mahrum hain
hamin par thi barish muraat ki
muqaddar to mera sanwaroge kya!
lakiren miTa do mere hat ki
ziyan hi ziyan hai faqat nafi mein
koi aur surat kar isbaat ki
mukammal nahin yun to koi wajud
kami mujh mein hai kaun si baat ki
- Book : Monthly Usloob (Pg. 388)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.