ghanimat hai wo rasman hi mile bimar-e-hijran se
ghanimat hai wo rasman hi mile bimar-e-hijran se
Nakhshab Jaarchawi
MORE BYNakhshab Jaarchawi
ġhanīmat hai vo rasman hī mile bīmār-e-hijrāñ se
ki ye dastūr bhī ab uTh rahā hai bazm-e-imkāñ se
irāda hai ki ham jalvoñ ko dekheñ chashm-e-hairāñ se
tumhāre naam par Takrā.eñge kashtī ko tūfāñ se
mirā dil ḳhuun ho kar bah rahā hai chashm-e-giryāñ se
ye dhabba hashr tak ab kyā chhuTegā un ke dāmāñ se
niyāz-o-nāz kī tasvīr koī khīñch le us dam
chhuḌā.eñge vo dāmāñ aur maiñ lipTūñgā dāmāñ se
na hone dī nadāmat hashr meñ ġhārat-gar-e-dil ko
sunā.ī dāstān-e-dard-o-ġham qismat ke unvāñ se
dil-e-betāb kī āñkhoñ meñ ik tasvīr khiñch aa.ī
abhī ik ashk tharrā kar girā hai nok-e-mizhgāñ se
abhī un kī nazar merī nazar se mil ke palTī hai
ye kis ne daf.atan ik tiir sā khīñchā rag-e-jāñ se
kuchh aise mutma.in baiThe haiñ rāh-e-dost meñ 'naḳhshab'
ki jaise ḳhuub vāqif hoñ ham apne dil ke darmāñ se
ghanimat hai wo rasman hi mile bimar-e-hijran se
ki ye dastur bhi ab uTh raha hai bazm-e-imkan se
irada hai ki hum jalwon ko dekhen chashm-e-hairan se
tumhaare nam par Takraenge kashti ko tufan se
mera dil KHun ho kar bah raha hai chashm-e-giryan se
ye dhabba hashr tak ab kya chhuTega un ke daman se
niyaz-o-naz ki taswir koi khinch le us dam
chhuDaenge wo daman aur main lipTunga daman se
na hone di nadamat hashr mein ghaarat-gar-e-dil ko
sunai dastan-e-dard-o-gham qismat ke unwan se
dil-e-betab ki aankhon mein ek taswir khinch aai
abhi ek ashk tharra kar gira hai nok-e-mizhgan se
abhi un ki nazar meri nazar se mil ke palTi hai
ye kis ne dafatan ek tir sa khincha rag-e-jaan se
kuchh aise mutmain baiThe hain rah-e-dost mein 'naKHshab'
ki jaise KHub waqif hon hum apne dil ke darman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.