gar aaftab pighalne lage to kya hoga
gar āftāb pighalne lage to kyā hogā
tumhārā shahr bhī jalne lage to kyā hogā
na saath le ke chalo ḳhvāhishoñ kī qindīleñ
havā bhī rang badalne lage to kyā hogā
sukūt-e-nīm-shabī barf ke libās meñ hai
ye chāñd aag ugalne lage to kyā hogā
añdherī shab meñ ujāloñ se khelne vaalo
kahīñ se dhuup nikalne lage to kyā hogā
gar aaftab pighalne lage to kya hoga
tumhaara shahr bhi jalne lage to kya hoga
na sath le ke chalo KHwahishon ki qindilen
hawa bhi rang badalne lage to kya hoga
sukut-e-nim-shabi barf ke libas mein hai
ye chand aag ugalne lage to kya hoga
andheri shab mein ujalon se khelne walo
kahin se dhup nikalne lage to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.