gar aur bhi meri turbat pe yar Thahrega
gar aur bhi meri turbat pe yar Thahrega
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
gar aur bhī mirī turbat pe yaar Thahregā
to zer-e-ḳhāk na ye be-qarār Thahregā
na bolo koī mire jhagḌe meñ samajh lūñgā
mire aur us ke jo dār-o-madār Thahregā
agar ye hai tire dāman kī hashr-o-nashr miyāñ
zamīñ pe ḳhaak hamārā ġhubār Thahregā
chalī bhī jā jaras-e-ġhuncha kī sadā pe nasīm
kahīñ to qāfila-e-nau-bahār Thahregā
tumhāre nāvak-e-mizhgāñ ke sāmne ḳhūbāñ
kahāñ talak ye dil-e-dāġhdār Thahregā
yahī hai luuT to shāne ke haath se pyāre
na ek bhī tirī zulfoñ kā taar Thahregā
tumhāre va.adoñ pe ham ko to ab nahīñ Thahrāv
magar nayā koī ummīd-vār Thahregā
jo sair karnī hai kar le ki jab ḳhizāñ aa.ī
na gul rahegā chaman meñ na ḳhaar Thahregā
ḳhadañg-ḳhurda dil aage se us ke jaatā hai
ḳhabar nahīñ ki kahāñ ye shikār Thahregā
shitāb aa.iyo Thahrā rakheñge ham us ko
jo jaañ laboñ pe shab-e-intizār Thahregā
use na dafn karo samjho to koī yaaro
zamīñ meñ 'mus.hafī'-e-be-qarār Thahregā
gar aur bhi meri turbat pe yar Thahrega
to zer-e-KHak na ye be-qarar Thahrega
na bolo koi mere jhagDe mein samajh lunga
mere aur us ke jo dar-o-madar Thahrega
agar ye hai tere daman ki hashr-o-nashr miyan
zamin pe KHak hamara ghubar Thahrega
chali bhi ja jaras-e-ghuncha ki sada pe nasim
kahin to qafila-e-nau-bahaar Thahrega
tumhaare nawak-e-mizhgan ke samne KHuban
kahan talak ye dil-e-daghdar Thahrega
yahi hai luT to shane ke hath se pyare
na ek bhi teri zulfon ka tar Thahrega
tumhaare wadon pe hum ko to ab nahin Thahraw
magar naya koi ummid-war Thahrega
jo sair karni hai kar le ki jab KHizan aai
na gul rahega chaman mein na KHar Thahrega
KHadang-KHurda dil aage se us ke jata hai
KHabar nahin ki kahan ye shikar Thahrega
shitab aaiyo Thahra rakhenge hum us ko
jo jaan labon pe shab-e-intizar Thahrega
use na dafn karo samjho to koi yaro
zamin mein 'mushafi'-e-be-qarar Thahrega
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.