gar dawa ke liye DhunDa hai to bekar kiya
gar davā ke liye DhūñDā hai to bekār kiyā
chāra-gar hī to hai jis ne hameñ bīmār kiyā
ham se kartā na talab kam se kam iz.hār-e-ḳhushī
is tarah aur bhī jiinā hameñ dushvār kiyā
daar tak khīñch ke tum le ga.e us ko nāhaq
us ne kab baat na sunñe pe thā isrār kiyā
kabhī faulād bhī ban jaatā thā tum ko yaaro
bas lachak jaane kī aadat ne tumheñ ḳhaar kiyā
kaam shar detā hai jab ḳhair se bantī nahīñ baat
mere bad-ḳhvāhoñ ne iz.hār ka.ī baar kiyā
ham use dost jo samjheñ bhī to kaise 'az.har'
chhup ke pīchhe se abhī us ne kahāñ vaar kiyā
gar dawa ke liye DhunDa hai to bekar kiya
chaara-gar hi to hai jis ne hamein bimar kiya
hum se karta na talab kam se kam izhaar-e-KHushi
is tarah aur bhi jina hamein dushwar kiya
dar tak khinch ke tum le gae us ko nahaq
us ne kab baat na sunne pe tha israr kiya
kabhi faulad bhi ban jata tha tum ko yaro
bas lachak jaane ki aadat ne tumhein KHar kiya
kaam shar deta hai jab KHair se banti nahin baat
mere bad-KHwahon ne izhaar kai bar kiya
hum use dost jo samjhen bhi to kaise 'azhar'
chhup ke pichhe se abhi us ne kahan war kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.