gar dil ke taqazon pe sanwar jae to jaanun
gar dil ke taqāzoñ pe sañvar jaa.e to jānūñ
takmīl-e-tasavvur jo nazar aa.e to jānūñ
suntā huuñ masīhā.ī ke charche tire aksar
ye dard-e-nihāñ had se guzar jaa.e to jānūñ
is dasht-navardī ke sabab ḳhaak huā huuñ
ye ḳhaak tire dar pe bikhar jaa.e to jānūñ
ye aa.ina nāzāñ hai sadāqat pe jo apnī
haañ ‘aks-e-darūñ is pe ubhar jaa.e to jānūñ
sab mahv-e-masāfat haiñ jo auqāt ḳhalā meñ
ye gardish-e-ayyām Thahar jaa.e to jānūñ
kyā ḳhuub hai andāz-e-nasīm-e-saharī aaj
vo kākul-e-pur-pech sañvar jaa.e to jānūñ
badnām-e-zamāna ho 'zahīr' aaj to kyā ġham
rusvā.ī kī un tak bhī ḳhabar jaa.e to jānūñ
gar dil ke taqazon pe sanwar jae to jaanun
takmil-e-tasawwur jo nazar aae to jaanun
sunta hun masihai ke charche tere aksar
ye dard-e-nihan had se guzar jae to jaanun
is dasht-nawardi ke sabab KHak hua hun
ye KHak tere dar pe bikhar jae to jaanun
ye aaina nazan hai sadaqat pe jo apni
han ‘aks-e-darun is pe ubhar jae to jaanun
sab mahw-e-masafat hain jo auqat KHala mein
ye gardish-e-ayyam Thahar jae to jaanun
kya KHub hai andaz-e-nasim-e-sahari aaj
wo kakul-e-pur-pech sanwar jae to jaanun
badnam-e-zamana ho 'zahir' aaj to kya gham
ruswai ki un tak bhi KHabar jae to jaanun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.