gar ho tamancha-band wo rashk-e-firangiyan
gar ho tamancha-band wo rashk-e-firangiyan
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
gar ho tamancha-band vo rashk-e-firañgiyāñ
bāñke muġhal bache na kareñ ḳhāna-jañgiyāñ
shoḳhī-mizāj us ke se ab tak ga.ī nahīñ
vaise hī bāñkpan haiñ vahī ġhola-dañgiyāñ
bulbul ke ashk-e-surḳh ne ye kyā ġhazab kiyā
jo tīliyāñ qafas kī sabhī ḳhuuñ meñ rañgiyāñ
gardūñ agarche din ko ġhazāl-e-siyāh hai
par shab ko mere saath kare hai palañgiyāñ
dekhā na hogā vo kabhī 'bezan' ne chaah meñ
jo din mujhe dikhātī haiñ qismat kī tañgiyāñ
aariz pe tere joshash-e-ḳhatt-e-siyāh hai
yā rome par chaḌh aa.ī hai ye fauj-e-zañgiyāñ
kyā jaane kis se bigḌī hai dariyā meñ 'mus.hafī'
lahroñ ke hāthoñ meñ haiñ jo talvāreñ nañgiyāñ
gar ho tamancha-band wo rashk-e-firangiyan
banke mughal bache na karen KHana-jangiyan
shoKHi-mizaj us ke se ab tak gai nahin
waise hi bankpan hain wahi ghola-dangiyan
bulbul ke ashk-e-surKH ne ye kya ghazab kiya
jo tiliyan qafas ki sabhi KHun mein rangiyan
gardun agarche din ko ghazal-e-siyah hai
par shab ko mere sath kare hai palangiyan
dekha na hoga wo kabhi 'bezan' ne chah mein
jo din mujhe dikhati hain qismat ki tangiyan
aariz pe tere joshash-e-KHatt-e-siyah hai
ya rome par chaDh aai hai ye fauj-e-zangiyan
kya jaane kis se bigDi hai dariya mein 'mushafi'
lahron ke hathon mein hain jo talwaren nangiyan
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 289)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.