gar main un se mila nahin hota
gar maiñ un se milā nahīñ hotā
ishq kā sāneha nahīñ hotā
roz hote haiñ hādse lekin
jaane kyuuñ vo mirā nahīñ hotā
bad-gumāñ mujh se kar gayā koī
varna vo yuuñ ḳhafā nahīñ hotā
soz ham ko mile magar daa.im
gāhe-gāhe bikā nahīñ hotā
chāhateñ haiñ ki jo badaltī haiñ
ishq to bārhā nahīñ hotā
jaane kaise vafā-parast haiñ vo
jin se va.ada vafā nahīñ hotā
ik tirī diid ḳhārij az imkāñ
varna duniyā meñ kyā nahīñ hotā
jab se dekhā hai rū-ba-rū un ko
haath dil se judā nahīñ hotā
kaun kahtā hai ishq meñ 'gauhar'
rañj rāhat-fazā nahīñ hotā
gar main un se mila nahin hota
ishq ka saneha nahin hota
roz hote hain hadse lekin
jaane kyun wo mera nahin hota
bad-guman mujh se kar gaya koi
warna wo yun KHafa nahin hota
soz hum ko mile magar daim
gahe-gahe bika nahin hota
chahaten hain ki jo badalti hain
ishq to barha nahin hota
jaane kaise wafa-parast hain wo
jin se wada wafa nahin hota
ek teri did KHarij az imkan
warna duniya mein kya nahin hota
jab se dekha hai ru-ba-ru un ko
hath dil se juda nahin hota
kaun kahta hai ishq mein 'gauhar'
ranj rahat-faza nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.