gar mohabbat ho to aisa nahin karte jaanan
gar mohabbat ho to aisā nahīñ karte jānāñ
biich raste meñ to chhoḌā nahīñ karte jānāñ
tum kisī ḳhvāb kī sūrat ho mirī āñkhoñ meñ
ḳhvāb āñkhoñ ko to nochā nahīñ karte jānāñ
jaañ se pyāroñ pe bahut maan huā kartā hai
yuuñ kisī maan ko toḌā nahīñ karte jānāñ
yaad rakhne ke jo qābil hoñ unhī logoñ ko
is qadar jald to bhūlā nahīñ karte jānāñ
'ishq meñ jhukne se tauqīr nahīñ ghaTtī hai
ḳhud-parastī ko labāda nahīñ karte jānāñ
rāh-e-pur-ḳhār pe hotā hai kaThin chalnā magar
saath denā ho to sochā nahīñ karte jānāñ
zarf vaale haiñ isī vāste chup haiñ itne
ġham ko sahte haiñ tamāshā nahīñ karte jānāñ
tum jo kahte ho ki jī pāoge mere bin bhī
ḳhud pe itnā bhī bharosā nahīñ karte jānāñ
sāmne vaalā hī har baar manā.egā hameñ
aisī ummīd pe rūThā nahīñ karte jānāñ
gar mohabbat ho to aisa nahin karte jaanan
bich raste mein to chhoDa nahin karte jaanan
tum kisi KHwab ki surat ho meri aankhon mein
KHwab aankhon ko to nocha nahin karte jaanan
jaan se pyaron pe bahut man hua karta hai
yun kisi man ko toDa nahin karte jaanan
yaad rakhne ke jo qabil hon unhi logon ko
is qadar jald to bhula nahin karte jaanan
'ishq mein jhukne se tauqir nahin ghaTti hai
KHud-parasti ko labaada nahin karte jaanan
rah-e-pur-KHar pe hota hai kaThin chalna magar
sath dena ho to socha nahin karte jaanan
zarf wale hain isi waste chup hain itne
gham ko sahte hain tamasha nahin karte jaanan
tum jo kahte ho ki ji paoge mere bin bhi
KHud pe itna bhi bharosa nahin karte jaanan
samne wala hi har bar manaega hamein
aisi ummid pe ruTha nahin karte jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.