gar mujhse KHafa ho to saza kyon nahin dete
gar mujh se ḳhafā ho to sazā kyoñ nahīñ dete
mujh ko bharī mahfil se uThā kyoñ nahīñ dete
hotā hai faqat jin se añdheroñ meñ izāfa
tum aise charāġhoñ ko bujhā kyoñ nahīñ dete
bīmār tumhāre lab-e-dam haiñ zarā dekho
tum kaise masīhā ho davā kyoñ nahīñ dete
vo jins-e-girāñ jis ko vafā kahtī hai duniyā
bāzār meñ biktī hai to lā kyoñ nahīñ dete
rahte ho rag-e-jāñ se bhī nazdīk ye maanā
tum DhūñDne vāloñ ko patā kyoñ nahīñ dete
mahfil meñ jo hāl-e-dil-e-pur-dard tumhārā
vo pūchh rahā hai to batā kyoñ nahīñ dete
'hāmid' tumheñ manzil kā patā jis ne batāyā
tum aise musāfir ko duā kyoñ nahīñ dete
gar mujh se KHafa ho to saza kyon nahin dete
mujh ko bhari mahfil se uTha kyon nahin dete
hota hai faqat jin se andheron mein izafa
tum aise charaghon ko bujha kyon nahin dete
bimar tumhaare lab-e-dam hain zara dekho
tum kaise masiha ho dawa kyon nahin dete
wo jins-e-giran jis ko wafa kahti hai duniya
bazar mein bikti hai to la kyon nahin dete
rahte ho rag-e-jaan se bhi nazdik ye mana
tum DhunDne walon ko pata kyon nahin dete
mahfil mein jo haal-e-dil-e-pur-dard tumhaara
wo puchh raha hai to bata kyon nahin dete
'hamid' tumhein manzil ka pata jis ne bataya
tum aise musafir ko dua kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.