gar shor hai dil mein bhara to KHamushi achchhi nahin
gar shor hai dil meñ bharā to ḳhāmushī achchhī nahīñ
jo ġhair hāthoñ meñ phañsī vo zindagī achchhī nahīñ
ik baar kī hī haar hai is ko na dil se tū lagā
yuuñ zindagī se haar kar phir ḳhud-kushī achchhī nahīñ
jo dost bin saj jaa.e vo mahfil nahīñ mahfil koī
ya.anī akele jashn kī koī ḳhushī achchhī nahīñ
gar jism kī hī chaah hai us ko mohabbat kyoñ kaheñ
noche havas meñ jo badan vo tishnagī achchhī nahīñ
mahbūb kī āñkheñ agar kartī nahīñ mad.hosh to
phir chhoḌ do ye mai-kashī ye mai-kashī achchhī nahīñ
jo haath thāmā hai mirā to bā-vafā rahnā sadā
jo bevafā ho jaao to phir tum sakhī achchhī nahīñ
kaise ḳhushī is ko kahūñ jo chashm terī nam kare
auroñ ke ġham kā ho sabab vo sarḳhushī achchhī nahīñ
sāhab jo kuchh bhī tum karo to faḳhr ke qābil karo
duniyā ke aage baap kī nazreñ jhukī achchhī nahīñ
gar shor hai dil mein bhara to KHamushi achchhi nahin
jo ghair hathon mein phansi wo zindagi achchhi nahin
ek bar ki hi haar hai is ko na dil se tu laga
yun zindagi se haar kar phir KHud-kushi achchhi nahin
jo dost bin saj jae wo mahfil nahin mahfil koi
yani akele jashn ki koi KHushi achchhi nahin
gar jism ki hi chah hai us ko mohabbat kyon kahen
noche hawas mein jo badan wo tishnagi achchhi nahin
mahbub ki aankhen agar karti nahin madhosh to
phir chhoD do ye mai-kashi ye mai-kashi achchhi nahin
jo hath thama hai mera to ba-wafa rahna sada
jo bewafa ho jao to phir tum sakhi achchhi nahin
kaise KHushi is ko kahun jo chashm teri nam kare
auron ke gham ka ho sabab wo sarKHushi achchhi nahin
sahab jo kuchh bhi tum karo to faKHr ke qabil karo
duniya ke aage bap ki nazren jhuki achchhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.