gar subh-dam wo KHush-gulu KHush-KHu nikal paDe
gar sub.h-dam vo ḳhush-gulū ḳhush-ḳhū nikal paḌe
phūloñ ko chhoḌ chhāḌ ke ḳhushbū nikal paḌe
terī galī ho log hoñ ghuñghrū pahan ke maiñ
eḌī ghumā ke raqs karūñ tū nikal paḌe
us ne kisī ġhazal meñ sahāre kī baat kī
chāroñ taraf se kitne hī baazū nikal paḌe
ham bāda-ḳhvār ahl-e-subū sukh kā saañs leñ
vaa.iz kī jeb se kahīñ daarū nikal paḌe
ḳhvāhish hai maiñ ḳharīd luuñ 'ġhālib' kā ḳhasta ghar
aur mo.ajiza ho sahn se urdu nikal paḌe
us gul-badan ne shāḳh ko dekhā jo pyaar se
pattoñ pe āñkheñ ban ga.iiñ abrū nikal paḌe
'dānish' baqā-e-ishq kā manshūr thaam kar
vāris nikal paḌe kabhī baahū nikal paḌe
gar subh-dam wo KHush-gulu KHush-KHu nikal paDe
phulon ko chhoD chhaD ke KHushbu nikal paDe
teri gali ho log hon ghunghru pahan ke main
eDi ghuma ke raqs karun tu nikal paDe
us ne kisi ghazal mein sahaare ki baat ki
chaaron taraf se kitne hi bazu nikal paDe
hum baada-KHwar ahl-e-subu sukh ka sans len
waiz ki jeb se kahin daru nikal paDe
KHwahish hai main KHarid lun 'ghaalib' ka KHasta ghar
aur moajiza ho sahn se urdu nikal paDe
us gul-badan ne shaKH ko dekha jo pyar se
patton pe aankhen ban gain abru nikal paDe
'danish' baqa-e-ishq ka manshur tham kar
waris nikal paDe kabhi bahu nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.