gar tar-e-nafas TuTe to sab KHatm tera shor
gar tār-e-nafas TuuTe to sab ḳhatm tirā shor
ai paikar-e-ḳhākī ye tirā zo'm tirā zor
tū baam pe Thahrā hai to itnā bhī na kar naaz
pātāl meñ aa bhaTkegā kaT jaa.e agar Dor
miTTī hī bharegī tirī ḳhvāhish kā piyāla
insāñ tirī fitrat hai abhī aur abhī aur
hai ḳhaak kī ḳhūrāk yahāñ ḳhaak ke purze
bas terī ye vaq'at hai kabhī is pe kiyā ġhaur
har chiiz kī gardan meñ qilāda hai fanā kā
bachtā hī nahīñ koī yahāñ par to kisī taur
sab pīchhe hī rah jā.eñge ai 'ḳhāna-ba-doshā'
ye maal maveshī tire Dangar ye tire Dhor
gar tar-e-nafas TuTe to sab KHatm tera shor
ai paikar-e-KHaki ye tera zo'm tera zor
tu baam pe Thahra hai to itna bhi na kar naz
patal mein aa bhaTkega kaT jae agar Dor
miTTi hi bharegi teri KHwahish ka piyala
insan teri fitrat hai abhi aur abhi aur
hai KHak ki KHurak yahan KHak ke purze
bas teri ye waq'at hai kabhi is pe kiya ghaur
har chiz ki gardan mein qilada hai fana ka
bachta hi nahin koi yahan par to kisi taur
sab pichhe hi rah jaenge ai 'KHana-ba-dosha'
ye mal maweshi tere Dangar ye tere Dhor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.