gar taqaddus chahte ho apne dastarKHwan ka
gar taqaddus chahte ho apne dastarKHwan ka
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
gar taqaddus chāhte ho apne dastarḳhvān kā
mat ta.āruf pochhiye aa.e hue mehmān kā
aa gayā thā gardish-e-shām-o-sahar meñ bhī sukūt
āsmānoñ par thā ye pahlā safar insān kā
muflisī ne chhīn lī thī mere chehre kī shanāḳht
varna saare shahr meñ har shaḳhs thā pahchān kā
ab bhī apne jurm kā tum log kar lo e'tirāf
ye havā.eñ pesh-ḳhema haiñ kisī tūfān kā
dekhne ke vāste husn-e-basīrat chāhiye
zarra-zarra aaj bhī sonā hai hindostān kā
gar taqaddus chahte ho apne dastarKHwan ka
mat taaruf pochhiye aae hue mehman ka
aa gaya tha gardish-e-sham-o-sahar mein bhi sukut
aasmanon par tha ye pahla safar insan ka
muflisi ne chhin li thi mere chehre ki shanaKHt
warna sare shahr mein har shaKHs tha pahchan ka
ab bhi apne jurm ka tum log kar lo e'tiraf
ye hawaen pesh-KHema hain kisi tufan ka
dekhne ke waste husn-e-basirat chahiye
zarra-zarra aaj bhi sona hai hindostan ka
- Book : سائبان غزل (Pg. 56)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.