gar tera dar khula nahin hota
gar tirā dar khulā nahīñ hotā
phir koī aasrā nahīñ hotā
tab bhī kashtī ḳhudā chalātā hai
jab koī nāḳhudā nahīñ hotā
dil se kahtā huuñ maiñ mirā ho jā
par vo kahtā hai jā nahīñ hotā
kar to lete haiñ vasl kā va.ada
par vo va.ada vafā nahīñ hotā
aql ye baar baar kahtī hai
dil kisī kā sagā nahīñ hotā
ab kahāñ DhūñDhtā hai ḳhush-hālī
maañ ke qadmoñ meñ kyā nahīñ hotā
aao ulfat jahān meñ bāñTeñ
nafratoñ se bhalā nahīñ hotā
narm lahje meñ baat karne se
kaam duniyā meñ kyā nahīñ hotā
mar ke bhī mulk kī vafāoñ kā
qarz ham se adā nahīñ hotā
gar tera dar khula nahin hota
phir koi aasra nahin hota
tab bhi kashti KHuda chalata hai
jab koi naKHuda nahin hota
dil se kahta hun main mera ho ja
par wo kahta hai ja nahin hota
kar to lete hain wasl ka wada
par wo wada wafa nahin hota
aql ye bar bar kahti hai
dil kisi ka saga nahin hota
ab kahan DhunDhta hai KHush-haali
man ke qadmon mein kya nahin hota
aao ulfat jahan mein banTen
nafraton se bhala nahin hota
narm lahje mein baat karne se
kaam duniya mein kya nahin hota
mar ke bhi mulk ki wafaon ka
qarz hum se ada nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.