gar tu mere ru-ba-ru shamil nahin
gar tū mere rū-ba-rū shāmil nahīñ
is safar kī mujh meñ ḳhū shāmil nahīñ
aaj tak māñgī nahīñ aisī duā
jis meñ terī aarzū shāmil nahīñ
aisī duniyā kā nahīñ koī javāz
aisī duniyā jis meñ tū shāmil nahīñ
maiñ karūñ kyā aise dil kā jis meñ dost
tū yā terī justujū shāmil nahīñ
yaad use kar saktā huuñ maiñ har jagah
is ibādat meñ vuzū shāmil nahīñ
aisī mahfil meñ bhalā jā.egā kaun
jis meñ terī guftugū shāmil nahīñ
kitnā be-ma.anī hai merā dikhnā gar
dekhne vāloñ meñ tū shāmil nahīñ
hijr hai tapte hue sahrā kā naam
jis meñ koī āb-jū shāmil nahīñ
dostoñ ne muḳhbirī kī thī mirī
is kahānī meñ adū shāmil nahīñ
gar tu mere ru-ba-ru shamil nahin
is safar ki mujh mein KHu shamil nahin
aaj tak mangi nahin aisi dua
jis mein teri aarzu shamil nahin
aisi duniya ka nahin koi jawaz
aisi duniya jis mein tu shamil nahin
main karun kya aise dil ka jis mein dost
tu ya teri justuju shamil nahin
yaad use kar sakta hun main har jagah
is ibaadat mein wuzu shamil nahin
aisi mahfil mein bhala jaega kaun
jis mein teri guftugu shamil nahin
kitna be-mani hai mera dikhna gar
dekhne walon mein tu shamil nahin
hijr hai tapte hue sahra ka nam
jis mein koi aab-ju shamil nahin
doston ne muKHbiri ki thi meri
is kahani mein adu shamil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.