gar uski samt main apna guman kar lungi
gar uski samt main apna guman kar lungi
Zargona Khalid Zargone
MORE BYZargona Khalid Zargone
gar us kī samt maiñ apnā gumān kar lūñgī
vajūd us kā maiñ phir apnī jaan kar lūñgī
kabhī jo us ne mujhe pyaar se pukār liyā
maiñ us ke naam ko vird-e-zabān kar lūñgī
jo ho sake to mujhe le chalo ufuq ke paar
maiñ tere saath ye ūñchī uḌaan kar lūñgī
tire ḳhayāl kī mahfil ho aur chaa.e ho
to sher kah ke maiñ dil shādmān kar lūñgī
zabān chup to hai lekin maiñ chup rahūñgī nahīñ
maiñ ḳhāmushī meñ bhī sab kuchh bayān kar lūñgī
utaar kar kabhī dhartī pe ik sitāre ko
zamīñ ko apnī maiñ phir āsmān kar lūñgī
gar us ki samt main apna guman kar lungi
wajud us ka main phir apni jaan kar lungi
kabhi jo us ne mujhe pyar se pukar liya
main us ke nam ko wird-e-zaban kar lungi
jo ho sake to mujhe le chalo ufuq ke par
main tere sath ye unchi uDan kar lungi
tere KHayal ki mahfil ho aur chae ho
to sher kah ke main dil shadman kar lungi
zaban chup to hai lekin main chup rahungi nahin
main KHamushi mein bhi sab kuchh bayan kar lungi
utar kar kabhi dharti pe ek sitare ko
zamin ko apni main phir aasman kar lungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.