gharaz nahin mujhe is se ki kya diya tu ne
gharaz nahin mujhe is se ki kya diya tu ne
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
ġharaz nahīñ mujhe is se ki kyā diyā tū ne
hazār-shukr ki jo kuchh diyā diyā tū ne
ḳhayāl-e-ḳhidmat-e-ḳhalq-e-ḳhudā diyā tū ne
mujhe hayāt kā maqsad batā diyā tū ne
bashar ye kuchh na kiyā shar baḌhā diyā tū ne
judā jo dair se ka.aba banā diyā tū ne
doī kā dil se jo parda uThā diyā tū ne
haram kā dair kā jhagḌā miTā diyā tū ne
najāt paa.ī thī mar mar ke qaid-e-hastī se
ki phir hayāt kā naqsha jamā diyā tū ne
kabhī thiiñ āñkheñ to aaya nazar na tū mujh ko
huiiñ jo band to jalva dikhā diyā tū ne
nahīñ havas mujhe duniyā kī jāh-o-hashmat kī
bahut diyā dil-e-dard-āshnā diyā tū ne
jahāñ meñ aane se pahle thā vāqif-e-asrār
jahāñ meñ aate hī sab kuchh bhulā diyā tū ne
jinheñ yaqīn hai duniyā kī be-sabātī kā
unheñ azāb-e-girāñ se bachā diyā tū ne
kahāñ thā hosh mujhe pī ke bāda-e-hastī
ajal bā-hosh kahā aur jagā diyā tū ne
jo dil ke jaan ḳharīdār thā gosha-e-turbat
use bhī gardish-e-daurāñ miTā diyā tū ne
mire sivā tere jalvoñ ko koī kyā jaane
tahayyurāt kā aalam dikhā diyā tū ne
vafūr-e-nūr se vahdat ke bazm-e-kasrat meñ
har ek zarra meñ jalva dikhā diyā tū ne
vo farq apne parā.e meñ kuchh nahīñ karte
diloñ se jin ke man-o-tū miTā diyā tū ne
bahār-e-be-ḳhudī mamnūn hai tirā 'sūfī'
sukūn-e-qalb kā aalam dikhā diyā tū ne
gharaz nahin mujhe is se ki kya diya tu ne
hazar-shukr ki jo kuchh diya diya tu ne
KHayal-e-KHidmat-e-KHalq-e-KHuda diya tu ne
mujhe hayat ka maqsad bata diya tu ne
bashar ye kuchh na kiya shar baDha diya tu ne
juda jo dair se kaba bana diya tu ne
doi ka dil se jo parda uTha diya tu ne
haram ka dair ka jhagDa miTa diya tu ne
najat pai thi mar mar ke qaid-e-hasti se
ki phir hayat ka naqsha jama diya tu ne
kabhi thin aankhen to aaya nazar na tu mujh ko
huin jo band to jalwa dikha diya tu ne
nahin hawas mujhe duniya ki jah-o-hashmat ki
bahut diya dil-e-dard-ashna diya tu ne
jahan mein aane se pahle tha waqif-e-asrar
jahan mein aate hi sab kuchh bhula diya tu ne
jinhen yaqin hai duniya ki be-sabaati ka
unhen azab-e-giran se bacha diya tu ne
kahan tha hosh mujhe pi ke baada-e-hasti
ajal ba-hosh kaha aur jaga diya tu ne
jo dil ke jaan KHaridar tha gosha-e-turbat
use bhi gardish-e-dauran miTa diya tu ne
mere siwa tere jalwon ko koi kya jaane
tahayyuraat ka aalam dikha diya tu ne
wafur-e-nur se wahdat ke bazm-e-kasrat mein
har ek zarra mein jalwa dikha diya tu ne
wo farq apne parae mein kuchh nahin karte
dilon se jin ke man-o-tu miTa diya tu ne
bahaar-e-be-KHudi mamnun hai tera 'sufi'
sukun-e-qalb ka aalam dikha diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.