gharaz-parast rahe jo wo aadmi kya hai
gharaz-parast rahe jo wo aadmi kya hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
ġharaz-parast rahe jo vo aadmī kyā hai
kisī ke kaam na aa.e to zindagī kyā hai
hazār chāñd sitāre sajā do mahfil meñ
nazar na ho to nazāroñ meñ dilkashī kyā hai
fareb milte haiñ aksar vafā kī rāhoñ meñ
nibhā sake na agar koī dostī kyā hai
isī añdhere se phūTegī raushnī kī kiran
charāġh dil kā jalāo ye tīrgī kyā hai
zavāl se na bachā aaj tak uruuj koī
ajal ke sāmne insāñ kī bartarī kyā hai
miTāyā ḳhud ko to ye raaz jaan paayā 'majīd'
ye sher chiiz hai kyā aur shā.erī kyā hai
gharaz-parast rahe jo wo aadmi kya hai
kisi ke kaam na aae to zindagi kya hai
hazar chand sitare saja do mahfil mein
nazar na ho to nazaron mein dilkashi kya hai
fareb milte hain aksar wafa ki rahon mein
nibha sake na agar koi dosti kya hai
isi andhere se phuTegi raushni ki kiran
charagh dil ka jalao ye tirgi kya hai
zawal se na bacha aaj tak uruj koi
ajal ke samne insan ki bartari kya hai
miTaya KHud ko to ye raaz jaan paya 'majid'
ye sher chiz hai kya aur shaeri kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.