garche main apne qad ke barabar nahin raha
garche maiñ apne qad ke barābar nahīñ rahā
lekin amīr-e-shahr se Dar kar nahīñ rahā
ye bhī nahīñ ki ab vo sitamgar nahīñ rahā
itnā zarūr hai ki vo patthar nahīñ rahā
be-samt rāstoñ ke musāfir haiñ sab yahāñ
koī bhī ik madār ke andar nahīñ rahā
ahl-e-ḳhirad kā naaz bajā hai magar kabhī
ahl-e-junūñ ke haath meñ patthar nahīñ rahā
'az.har' guzar rahe haiñ shab-o-roz is tarah
āñkhoñ meñ koī pyaar kā manzar nahīñ rahā
garche main apne qad ke barabar nahin raha
lekin amir-e-shahr se Dar kar nahin raha
ye bhi nahin ki ab wo sitamgar nahin raha
itna zarur hai ki wo patthar nahin raha
be-samt raston ke musafir hain sab yahan
koi bhi ek madar ke andar nahin raha
ahl-e-KHirad ka naz baja hai magar kabhi
ahl-e-junun ke hath mein patthar nahin raha
'azhar' guzar rahe hain shab-o-roz is tarah
aankhon mein koi pyar ka manzar nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.