garche nisbat bhi usko gham se hai
garche nisbat bhī us ko ġham se hai
vo mirī zindagī qasam se hai
us ko sajda bhī kar nahīñ saktī
dair se vo nahīñ haram se hai
kuchh nahīñ lenā mujh ko duniyā se
mujh ko matlab tire karam se hai
zindagī kī udaas rāhoñ meñ
lutf un abrūoñ ke ḳham se hai
laaj rakhtī huuñ maiñ jo lafzoñ kī
rabt qirtās aur qalam se hai
us se kyā rūThnā 'duā' merā
dil dhaḌaktā usī ke dam se hai
garche nisbat bhi us ko gham se hai
wo meri zindagi qasam se hai
us ko sajda bhi kar nahin sakti
dair se wo nahin haram se hai
kuchh nahin lena mujh ko duniya se
mujh ko matlab tere karam se hai
zindagi ki udas rahon mein
lutf un abruon ke KHam se hai
laj rakhti hun main jo lafzon ki
rabt qirtas aur qalam se hai
us se kya ruThna 'dua' mera
dil dhaDakta usi ke dam se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.