gard-alud hain aur KHun mein nahae hue hain
gard-ālūd haiñ aur ḳhuuñ meñ nahā.e hue haiñ
ye jo taa.ir haiñ ye kis shahr se aa.e hue haiñ
rāteñ aa aa ke uḌāne lagīñ nīñdoñ kā mazāq
tum ne āñkhoñ ko bahut ḳhvāb dikhā.e hue haiñ
kal jinheñ apnī kahānī meñ kiyā thā shāmil
ab vo kirdār mirī jaan ko aa.e hue haiñ
sahmī sahmī sī khaḌī dekh rahī hai duniyā
merī bebākiyāñ kuchh raaz chhupā.e hue haiñ
jo gulāboñ ke ḳharīdār the ab to vo bhī
cactus shaan se gamloñ meñ lagā.e hue haiñ
zid hai girtī huī dīvār bachāne kī hameñ
aur bādal bhī bahut TuuT ke chhā.e hue haiñ
ye hī hotā hai mohabbat meñ yahī hotā hai
aap be-vaj.h hī tūfān uThā.e hue haiñ
ye na aa jaa.eñ kahīñ qaht-e-adab kī zad meñ
ham ne tahzīb ke kuchh peḌ lagā.e hue haiñ
gard-alud hain aur KHun mein nahae hue hain
ye jo tair hain ye kis shahr se aae hue hain
raaten aa aa ke uDane lagin nindon ka mazaq
tum ne aankhon ko bahut KHwab dikhae hue hain
kal jinhen apni kahani mein kiya tha shamil
ab wo kirdar meri jaan ko aae hue hain
sahmi sahmi si khaDi dekh rahi hai duniya
meri bebakiyan kuchh raaz chhupae hue hain
jo gulabon ke KHaridar the ab to wo bhi
cactus shan se gamlon mein lagae hue hain
zid hai girti hui diwar bachane ki hamein
aur baadal bhi bahut TuT ke chhae hue hain
ye hi hota hai mohabbat mein yahi hota hai
aap be-wajh hi tufan uThae hue hain
ye na aa jaen kahin qaht-e-adab ki zad mein
hum ne tahzib ke kuchh peD lagae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.