gard-e-rah ban kar faqat ek hum safar ke ho gae
gard-e-rah ban kar faqat ik ham safar ke ho ga.e
rāheñ thiiñ lākhoñ magar ik rah-guzar ke ho ga.e
ro.eñ ronā kis liye ham apnī tanhā.ī kā ab
ab pashemāñ kyā hoñ jab dhoke nazar ke ho ga.e
ham ne sochā thā rahoge yūñhī tum mere magar
tum bhī auroñ kī tarah hī māl-o-zar ke ho ga.e
gaañv kī kachchī saḌak phir yaad na aa.ī tumheñ
shahr jā ke tum to ai hamdam shahr ke ho ga.e
āḳhirash tum ne bhī apne rang dikhlā hī diye
jis taraf duniyā huī tum bhī udhar ke ho ga.e
jis zamīñ par aa.e the aadam sazā ke taur par
us zamīñ par kis qadar naḳhre bashar ke ho ga.e
mauj-e-dariyā se bhalā ab kyā shikāyat ho mujhe
jabki yaañ apne safīne bhī bhañvar ke ho ga.e
ek vahdat haath se chhūTī to duujī haath aa.ī
ik ḳhudā ko chhoḌ kar ham ik bashar ke ho ga.e
apne mohsin ke liye rakkhā nahīñ dil meñ nifāq
raah ko āñkhoñ se chūmā rāhbar ke ho ga.e
chilchilātī dhuup meñ is zindagī kī ai 'suhail'
jis se bhī saaya milā ham us shajar ke ho ga.e
gard-e-rah ban kar faqat ek hum safar ke ho gae
rahen thin lakhon magar ek rah-guzar ke ho gae
roen rona kis liye hum apni tanhai ka ab
ab pasheman kya hon jab dhoke nazar ke ho gae
hum ne socha tha rahoge yunhi tum mere magar
tum bhi auron ki tarah hi mal-o-zar ke ho gae
ganw ki kachchi saDak phir yaad na aai tumhein
shahr ja ke tum to ai hamdam shahr ke ho gae
aaKHirash tum ne bhi apne rang dikhla hi diye
jis taraf duniya hui tum bhi udhar ke ho gae
jis zamin par aae the aadam saza ke taur par
us zamin par kis qadar naKHre bashar ke ho gae
mauj-e-dariya se bhala ab kya shikayat ho mujhe
jabki yan apne safine bhi bhanwar ke ho gae
ek wahdat hath se chhuTi to duji hath aai
ek KHuda ko chhoD kar hum ek bashar ke ho gae
apne mohsin ke liye rakkha nahin dil mein nifaq
rah ko aankhon se chuma rahbar ke ho gae
chilchilati dhup mein is zindagi ki ai 'suhail'
jis se bhi saya mila hum us shajar ke ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.