gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue
gard-e-safar meñ aañkh se ojhal kitne hī rah-gīr hue
jitne sāya-dār shajar the raah meñ dāman-gīr hue
jīvan bhar kā bandhan ham to ghar se toḌ ke nikle the
lekin kuchh an-jāne rishte pairoñ kī zanjīr hue
khel hī khel meñ ek khilaunā haath se gir kar TuuT gayā
nanhe munne hañste bachche ashkoñ kī tasvīr hue
ham ne jo tahrīreñ likkhīñ sab kī sab matrūk huiiñ
vaqt ke hāthoñ ham bhī kaisī be-ma.anī tafsīr hue
gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue
jitne saya-dar shajar the rah mein daman-gir hue
jiwan bhar ka bandhan hum to ghar se toD ke nikle the
lekin kuchh an-jaane rishte pairon ki zanjir hue
khel hi khel mein ek khilauna hath se gir kar TuT gaya
nanhe munne hanste bachche ashkon ki taswir hue
hum ne jo tahriren likkhin sab ki sab matruk huin
waqt ke hathon hum bhi kaisi be-mani tafsir hue
- Book : سکوت دشت (Pg. 71)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.