gard-e-safar mein rah ne dekha nahin mujhe
gard-e-safar meñ raah ne dekhā nahīñ mujhe
ik umr mahr o maah ne dekhā nahīñ mujhe
achchhā huā ki ḳhāk-nashīnoñ ke rū-ba-rū
us shahr-e-kaj-kulāh ne dekhā nahīñ mujhe
maiñ dekhtā thā rañg badaltī huī nigāh
badlī huī nigāh ne dekhā nahīñ mujhe
merī sadā vahāñ pe tujhe kaise DhūñDtī
terī jahāñ panāh ne dekhā nahīñ mujhe
har mauj-e-dard ḳhud maiñ utāre chalā gayā
'sāhil' dil-e-tabāh ne dekhā nahīñ mujhe
gard-e-safar mein rah ne dekha nahin mujhe
ek umr mahr o mah ne dekha nahin mujhe
achchha hua ki KHak-nashinon ke ru-ba-ru
us shahr-e-kaj-kulah ne dekha nahin mujhe
main dekhta tha rang badalti hui nigah
badli hui nigah ne dekha nahin mujhe
meri sada wahan pe tujhe kaise DhunDti
teri jahan panah ne dekha nahin mujhe
har mauj-e-dard KHud main utare chala gaya
'sahil' dil-e-tabah ne dekha nahin mujhe
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 11)
- Author : Zeeshan Sahil
- Publication : City Press Book Shop (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.