gard kaisi hai ye dhuan sa kya
gard kaisī hai ye dhuāñ sā kyā
jā rahā hai vo kārvāñ sā kyā
ho gayā koī mehrbāñ sā kyā
rañj kā bañdh gayā samāñ sā kyā
tak rahe haiñ ḳhalā meñ ham kis ko
ban rahā hai vo ik nishāñ sā kyā
silsila kuchh udāsiyoñ kā bhī
jagmagātā hai kahkashāñ sā kyā
ham bhī achchhe haiñ dard bhī kam hai
dil se uTThā magar dhuāñ sā kyā
kaise TuuTe sukūt-e-shām-e-firāq
har taraf shor-e-be-amāñ sā kyā
ye mohabbat hai yā hai koī tilism
pīchhā kartā hai ik gumāñ sā kyā
gard kaisi hai ye dhuan sa kya
ja raha hai wo karwan sa kya
ho gaya koi mehrban sa kya
ranj ka bandh gaya saman sa kya
tak rahe hain KHala mein hum kis ko
ban raha hai wo ek nishan sa kya
silsila kuchh udasiyon ka bhi
jagmagata hai kahkashan sa kya
hum bhi achchhe hain dard bhi kam hai
dil se uTTha magar dhuan sa kya
kaise TuTe sukut-e-sham-e-firaq
har taraf shor-e-be-aman sa kya
ye mohabbat hai ya hai koi tilism
pichha karta hai ek guman sa kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.