gard-o-ghubar yun baDha chehra bikhar gaya
gard-o-ġhubār yuuñ baḌhā chehra bikhar gayā
malbūs thā maiñ jis meñ labāda bikhar gayā
kal raat jugnuoñ kī samundar pe bhiiḌ thī
lagtā thā raushnī kā jazīra bikhar gayā
dahshat thī is qadar ki manāzir pighal ga.e
gir kar badan se ḳhud mirā saaya bikhar gayā
manzar meñ aur nazar meñ tasādum thā raat bhar
jab bhī uThī nigāheñ darīcha bikhar gayā
jaañ se ziyāda rakkhā jise ehtiyāt se
virse meñ jo milā thā vo tohfa bikhar gayā
tūfān-e-yād-e-raftagāñ itnā shadīd thā
ashkoñ se merī aañkh kā taarā bikhar gayā
gard-o-ghubar yun baDha chehra bikhar gaya
malbus tha main jis mein labaada bikhar gaya
kal raat jugnuon ki samundar pe bhiD thi
lagta tha raushni ka jazira bikhar gaya
dahshat thi is qadar ki manazir pighal gae
gir kar badan se KHud mera saya bikhar gaya
manzar mein aur nazar mein tasadum tha raat bhar
jab bhi uThi nigahen daricha bikhar gaya
jaan se ziyaada rakkha jise ehtiyat se
wirse mein jo mila tha wo tohfa bikhar gaya
tufan-e-yaad-e-raftagan itna shadid tha
ashkon se meri aankh ka tara bikhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.