gardan mein hain wo bahen gardish mein hain paimane
gardan meñ haiñ vo bāheñ gardish meñ haiñ paimāne
kyā diin hai kyā duniyā shā.ir kī balā jaane
kuchh siikh sakeñ shāyad ābādiyāñ shahroñ se
ai rāh-ravo Thahro kuchh kahte haiñ vīrāne
mutrib vo uThe parde saaqī vo khule uqde
haañ yuuñ hī damādam de paimānoñ pe paimāne
ham ishq se kyā vāqif vāqif haiñ to sirf itnā
āġhāz halākat hai anjām ḳhudā jaane
jo ġhuncha-o-shabnam the kal raat ke hoñToñ par
ab sub.h ke kānoñ par nashtar haiñ vo afsāne
ai 'josh' ulajhtā hai kyoñ shaiḳh-e-subuk-sar se
vo ishq ko kyā samjhe vo husn ko kyā jaane
gardan mein hain wo bahen gardish mein hain paimane
kya din hai kya duniya shair ki bala jaane
kuchh sikh saken shayad aabaadiyan shahron se
ai rah-rawo Thahro kuchh kahte hain virane
mutrib wo uThe parde saqi wo khule uqde
han yun hi damadam de paimanon pe paimane
hum ishq se kya waqif waqif hain to sirf itna
aaghaz halakat hai anjam KHuda jaane
jo ghuncha-o-shabnam the kal raat ke honTon par
ab subh ke kanon par nashtar hain wo afsane
ai 'josh' ulajhta hai kyon shaiKH-e-subuk-sar se
wo ishq ko kya samjhe wo husn ko kya jaane
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 225)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.